Doston, kya aapne penny stocks ke baare me suna hai? Online trading ki shuruaat ke baad, stock markets sabhi tarah ke investors ke liye bahut accessible ho gaye hain. Chote se chote aur bade se bade amount ko invest karke growth dekhne ke liye stock market ek ideal jagah hai.
Penny stocks ek bahut hi interesting opportunity present karte hain, kyunki ye stocks typically ekdum low prices pe offer kiye jaate hain - dirt cheap! Lekin inme invest karne ka kya fayda hai?
Doston aaj hum dekhenge ki penny stocks me invest karne ke kya benefits hain aur inse kis tarah ki risks associated hoti hain. To chaliye dekhte hain ki penny stocks aapko liye invest karne ke liye ek uchit choice hai, ya nahi.
Sabse pehle dekhte hain, ki kya hote hain penny stocks asli mein?
Penny stocks generally choti companiyon ke stocks ko bolte hain. Inke na kewal share prices low hote hain, balki in companies ka market capitalisation bhi low hot hai.
Doston aap penny ka matlab jaante ho? Penny US Dollar ka 100th hissa hota hai, yani ki ek cent. Jaise rupay ke context me 1 paisa hota tha. Isiliye penny stocks ko is naam se bulaya jaata hai: inke share prices bahut low hote hain.
Indian markets me penny stocks zyadatar 10 rupay se kam par priced hote hain. In stocks ko market caitalisation ke basis par bhi name kiya jaata hai. Isliye inko nano-cap stocks, micro-cap stocks aur small-cap stocks bhi bolte hain.
Doston NSE aur BSE par stocks ko unke market cap ke hisaab se list kiya jaata hai. Kya aap ye baat jaante the?
Thats why, in par penny stocks zyadatar end me listed hote hain. Aur kuch-kuch penny stocks toh aapko keval chote stock exchanges par hi milenge. Toh doston ye tha penny stocks ka ek introduction. Ab inko thode detail me dekh lete hain. Aaiye jaante hain penny stocks ke features ko brief me.
Doston low prices ke alawa penny stocks ke aur bhi important aspects hote hain. For example:
Indian context me penny stocks ka market capitalisation 50-100 crore se kum hota hai.
For various reasons, penny stocks ki liquidity bahut low hoti hai. Ye stocks popular nahi hote. As a result, inko khareedne wale investors ki sankhya bhi kam hoti hai.
Doston inka teesra crucial feature hota hai unpredictability. Waise toh sabhi stocks ke saath koi na koi amount of risk associated hoti hai, lekin penny stocks ke prices ko predict karna kaafi difficult hota hai, kyunki inka movement thoda uncertain hota hai.
Aur doston, penny stocks ka ek dhyaan rakhne wala feature hota hai inka risk and return profile: Although ye high risk investment maane jaate hain, jin investors ki high risk appetite hoti hai, woh drastic growth potential expect karte hue inme invest karte hain. Iska karan yah hai ki they are very sensitive to market movements.
Doston ab samay aa gaya hai penny stocks me invest karne ke benefits aur risks samajhne ka. Nahi to itna sab jaankar kya fayda, hai ki nahi?
Toh doston dekhte hain ki penny stocks me invest karke aap kya expect kar sakte ho and what you should keep in mind.
Pehla point: Penny stocks me invest karne ke liye aapko bade capital ki zaroorat nahi hogi. Because inki price per share low hoti hai, aap apne capital amount ka ek chota sa hissa penny stocks me invest karne ke liye dedicate kar sakte ho.
Doosra point: Penny stocks aapke portfolio ko diversify kar sakte hain. Kai investors bolte hain ki penny stocks me invest karke koi fayda nahi hai, inse koi return nahi milte. Lekin thodi si market research karke aap suitable penny stocks dhoond sakte ho, apne portfolio me include karne ke liye.
Teesra point : Penny stocks me movement dekhne ke liye aapko saalon ka intzaar nahi karna padega. Inke prices me rise aur fall kuch hi dino me dekhne ko mil jaata jai. Doston, isiliye inko high-volatility investment maana jaata hai.
Toh doston, ye toh ho gaye penny stocks me invest karne ke benefits. Fir inme invest karne me kya risk hai? Aaiye dekhte hain.
Doston pehli problem toh ye hai ki penny stocks me invest karne ke liye aapko adequate information milna thoda mushkil hota hai. Zyadatar experienced investors toh theek tarah se research karne ke baad kisi stocks me invest karte hain. Lekin penny stocks ke saath ye aksar possible hi nahi hota hai. Inki performance ki history available nahi hoti hai, aur financial growth wagehra par information dhoondhna bhi thoda difficult hota hai.
Aur second, and very important: penny stocks ek scam ka hissa bhi ho sakte hain. Inko usually pump and dump scheme bola jaata hai. Isme koi ek party kisi share ki bahut saari volume khareed leti hai. Jab prices badhti hain, toh baaki ke investors in stocks ki taraf bhaagte hain. Jab aur investment milta hai, toh high prices pe in stocks ko wah party ekdum se bech deti hai. Toh doston aapko market me theek se research karke hi penny stocks me invest karna hai, nahi toh aap bhi aise kisi scam ka hissa ban sakte ho.
Toh doston, jaisa ki hamne aaj ke podcast me dekha, penny stocks me aapko bade profits bhi ho sakte hain, aur utne hi bade losses bhi. Ye short term investment ka ek badhiya option hai, lekin low liquidity ke kaaran inko sell karna thoda mushkil bhi hota hai. Aur doston jaisa ki hamne aapko abhi bola, kai saare penny stocks scams bhi hote hain, so please be on the lookout, agar aap kisi listing ke baare me suspicious ho, toh inse saawdhaan rehne me hi bhalai hai.
Toh doston, aaj ke podcasts mein itna hi. ये podcast शेयर करना ना भूलियेगा - याद रखियेगा की ज्ञान बाटने से बढ़ता है । और फिर अंत में तोह financial markets एक ऐसी university है जिसमे कोई professor नहीं, सब students ही है ।