Supply and Demand Trading

Podcast Duration: 05:32
Namaskar doston. Angel One ke is podcast me aapka swagat hai.

Doston kya aap forex trading karte ho? Supply and demand trading forex trading ki duniya mein ek crucial strategy hai. Aaj ke podcast mein hum baat karenge supply and demand trading par - aus iske baad discuss karenge kuch strategies, jo investors supply aur demand trading mein use karte hain.

Par iske pehle aapko samajhna zaroori hai supply aur demand zones ka meaning aur significance. Sounds interesting? Toh chaliye shuru karte hain.

Jaisa ki aap jaante hi hoge, supply aur demand kisi bhi cheez ki price ko move karte hain. In case of currencies, buy order aur sell orders se currency pairs me movements dekhne ko milte hain.

If there are more sell orders than buy orders, toh price mein downward movement ke saath bearish trend dekhne ko milta hai.

On the other hand, agar buy orders ka number sell orders se zyada hai, to bullish trend dikhai deta hai. Jahan se bearish trend ki wave shuru hoti hai, usko supply zone bolte hain. Aur similarly, jahan se bullish trend originate hota hai, usko demand zone bolte hain.

Doston, supply aur demand zones identify karne ke liye candlestick charts ka use karna hota hai. Supply aur demand zones ke liye aapko engulfing aur pinbar patterns recognise karna aana chahiye. Theek hai nai doston? Achcha supply aur demand zones ke liye aapko kis time frame ke charts dekhne honge? The short answer: 1 ghante ke upar koi bhi timeframe! Ye isliye, kyunki usse kam time frame me aapke analysis me kaafi noise dekhne ko milegi.

Ab dost, aap khud hi socho - agar aap phone se kheenchi gayi picture ko zoom karte chale jaoge, toh kya hoga? Picture pixelated dikhne lagti hai ki nahi? Meena ne toh pichle mahine ye phone hi change kar diya. Poocho kyu? Kyunki Meena pixelation se pareshaan ho gayi thi.

Dostn agar aap forex charts ko zyada zoom karoge, toh aapka analysis noise par waste hoga.

Kuch experts ka manna hota hai, ki 4 ghante ke aur 24 ghante ke timeframes work the best when reading forex charts.

Toh kya aapko concept samajh mein aaya? Chaliye let’s get a little practical.

Doston supply aur demand zones locate karne ke liye aapko teen simple steps follow karne hain.

Pehla: Candlesticks chart par longest candles locate karen. Inme se un areas par focus karein jahan par ye long sticks ek ke baad ek same direction mein bade movements create kar rahe hon.

Doosra step: Is bade movement ka base locate karein. Agar upward movement hua hai, toh aap demand zone locate kar rahe hain.

Teesra step: Base locate karke zone draw karen.

Waise dhyaan rakhna - supply aur demand zones ki boundaries ko precisely locate karna thoda mushkil hota hai. Lekin aap practice karke apne precision ko badha sakte ho. Supply aur demand zones mein candlesticks ki wicks bhi include ho sakti hain.

Chaliye ab dekhte hain supply aur demand trading ke kuch general rules, aur fir aapko denge kuch pointers.

Mam’ may I come in pucha hai class mein kabhi? Wahan toh teacher se jawab mil jaata hai. Yahan thoda mushqil hoga.

Supply aur demand trading mein aapka entry point hoga usually in the middle of the supply ya demand zone.

Agar aap demand zone dekh rahe ho, toh aapko stop loss demand zone se five-ten pips neeche rakhna hai.

Ab baat karte hain risk aur reward ki. In the above situation, your risk will be defined between entry point and stop loss. As a rule of thumb, aapke rewards risk ke comparison mein 3 guna ya zyada hona chahiye. Toh chaliye dekhte hain kuch strategies, jo aapko supply aur demand trading mein help karengi.

Doston supply aur demand trading mein timely exit is crucial.

Accha toh hum chalte hain? Itni jaldi nahi! Although position ke accumulation mein time lagta hai, lekin supply ya demand zone mein zyada samay tak bane rehna is considered good practice.

Aur more importantly, good supply aur demand zones usually narrow hote hain. Theek hai na doston? Chaliye dekhte hain next point. Supply aur demand trading mein spring pattern is very widely used. Agar aap spring pattern recognise nahi kar paate ho, toh you might end up trading in the opposite direction.

Doston spring pattern mein aapko ek breakout dekhne ko milega, jo 1-2 candlestiks tak bump hoga, aur fir waapas supply ya demand zone mein enter kar lega.

Lekin iske baad aapko opposite direction mein ek strong movement dekhne ko milega. Spring patterns agar ignore kiye jayen toh risky hain, lekin agar aap isko spot kar paate ho, toh aap apne liye ek solid entry create kar sakte ho.

Aur ab last point - agar buy aur sell orders mein ek major imbalance hota hai, toh aapko explosive price movements dekhne ko mil sakte hain.

You should always remember, ki jitna strong breakout hua hai, utna hi badhia demand zone create hoga. Isliye, aapko strong turning points locate karne hain, kyunki they will lead you to highly probable price levels. Thoda heavy ho gaya na? Koi na. Time lo, practice karo. Ek baar fir se sun lo, chaho toh. Main toh idhar hi hoon. Is baar notes le lena.

Toh doston, aaj ke podcast me itna hi. एंजेल वन की तरफ से आपको अलविदा. ये podcast शेयर करना ना भूलियेगा - याद रखियेगा की ज्ञान बाटने से बढ़ता है । और फिर अंत में तोह financial markets एक ऐसी university है जिसमे कोई professor नहीं, सब students ही है ।