How to invest money in stock market

Podcast Duration: 07:05
Namaste dosto! mai vishesh sharma baat kar raha hu. is podcast mein hum batayenge ki share market mein kaise invest karna hai.

Har beginner investor ka doubts ke clarifications deta hu is podcast mein.

Share market ya stock market mein trade karne liye Indian stock markets mein basically 2 stock exchanges hai - National Stock Exchange (NSE) and Bombay Stock Exchange (BSE). Ye 2 stock exchanges se hum equity shares, futures and options, bonds, debts, mutual funds, and IPO mein trade kar sakte hai. Saare Depository Participants (DP) NSDL and CDSL mein registered hai. Is mein trade karne ka 2 tareeka hai Intraday Trading and Delivery Trading.

Intraday Trading ka matlab hai ki saare shares ya position ko ek hi din mein market close hone se pehle square off karna hai. lekin, Delivery Trading mein ek din ke baad trading karna hai.

Stock market mein trading karne ke liye kuch requirements hai. Hum ab iske baare mein pata karenge. Stock market mein trade karne ke liye hame jarurat hai demat aur trading accounts ka. Ye accounts hame SEBI registered depository participants se lena padega. Angel One jaisa depository participants hume ye demat aur trading accounts provide karte hai. Is accounts ko hamare bank accounts se link karna hai. Trading karne se pehle hume hamara risk appetite aur tolerance bhi pata karna hai. Pehle Low risk aur diversified portfolio banana padega. Experience se jyada trading ka risk le sakte.

Indian stock market mein trade karne ke liye kuch cheez pe dhyan dena hai jaise check points bhol sakte.

1. Jis stocks mein invest karna chahte hai uske baare mein pata karna hai. Ek baar fact check karna hai.

2. Stock market mein trade karne mein risk hai. Portfolio ka management robo advisory se karnewale tools available hai jaise Angel One ka ARQ. Individual stocks mein trade karke risk lene se acha aisa kuch portfolio ke hisab se suggestions lena behetareen hai.

3. Aaj kal technology advancements ki faida lena stock market mein jaruri hai. Hamara investment requirements poori karne vale stocks ka comparison aur analysis karne keliye badiya tools aur platforms available hai

4. Brokerage save karna jaroori hai. Invest karte vaqt hi outcome sochna hai usme brokerage ka bhi calculation karna hai

5. Jo investment plan karte hai usi plan pe stick on karna hai. Emotions se investment nai karna hai

“The most important investment you can make is in yourself.” - Warren Buffet

Summarizing the whole discussion, mai ye bholna chahta hu ki

1. Demat and Trading Accounts kholna jaruri hai

2. Order place karne liye proper segment aur stock ka search karna hai aur analysis karna hai

3. Invest karne ka amount ke upar risk lene ka tayari karna hai

4. stocks mein trading chalu karle aur Enjoy your trading