Hello doston! Angel One ke iss podcast mein aapka swagat hai. Aaj ke episode mein hum kaafi interesting ideas ki charcha karenge. Properly applied, these ideas can help you become a smarter trader. Toh chaliye shuru karte hai!
Complex topics ko simple banane ka ek tareeka hai ki unhe everyday objects se compare kiya jaaye. Aaj ka topic hi le lijiye:
the cup and handle pattern. Iss pattern ka naam uss cup se aata hai jo har Indian masala chai ya filter coffee peene ke liye use karta hai. Jab aap cup and handle sunte hai, toh ek shape immediately aapke dimaag mein aata hoga: the soft U-shaped cup with the handle that reaches down till the halfway point of the cup.
Ab iss shape ko lijiye aur isse ek stock market graph par rakh dijiye. Share price jab increase hone waale hote hai, tab ve kabhi kabar cup and handle pattern ko resemble karte hai. Chaliye samajte hai aisa kyun aur kab hota hai. Iss pattern ko aapne ek baar samaj liya toh aap isse technical analysis mein use kar sakte hai.
Cup and handle pattern mein 3 stages hote hai.
Stage 1:
Share price hits the resistance level, and declines because of the selling pressure. Investors profitable position mein aate hai, aur phir profit capture karne ke liye apne positions clear karte hai. Iski wajah se share price girta hai, aur ek level par thode waqt ke liye stabilize hota hai. Iss level ko cup ka bottom maan lijiye.
Stage 2:
Because of the low price, investors start buying the stock. The trendline shoots upward. The share price rises - par stock jab resistance level tak pahunchta hai, tab selling pressure ki wajah se share price phirse girta hai. Par share price stage 1 mein jitna gira tha, utna nahi girta.
Stage 3:
Cup ke handle ki tarah share price halfway point tak pahuchta hai aur phir chadne lagta hai. Aap agar price chart par iss pattern ko dekhte hai, toh iska ye matlab ho sakta hai ki stock resistance level ko break karke bullish rally mein jaane waala hai.
Iss stock ko pehle notice William J. O'Neil ne kiya tha aur iske baarein mein apni kitaab How to Make Money in Stocks mein likha tha.
Agar koii stock ka price neeche trend kar raha hai,toh cup and handle pattern ka matlab ho sakta hai ki price reversal hone waala hai. Agar share price upar trend kar raha hai, toh cup and handle pattern ka matlab ho sakta hai ki trendline mein aur bhi sharp increase hone waala hai.
Bullish rally hone waali hai ye confirm karne ke liye traders ko trading volume par nazar daalni chahiye. Agar resistance line ko break karne ke baad stock ka trading volume badta hai, then it counts as additional proof that a bullish rally may be underway.
Hume iss baat par garv hai ki Angel One podcasts par hum hamesha practical knowledge share karte hai.
Toh chaliye discuss karte hai ki agar aapko cup and handle pattern dikhta hai toh aap kaise ek position le sakte hai - aur iss pattern ko aapko kab ignore karna chahiye.
Cup and handle pattern ke complete hone se pehle position na le. That is, let the cup and handle appear properly on the graph first. Iss baat ka dhyan rakhe ki handle ki height cup ke height se aadhi honi chahiye. Agar handle ek doosra cup ban jaata hai, tab aapke saamne cup and handle pattern nahi par kuch aur hai. Ideally, the handle’s height should be 1/3rd of the cup’s height. Ek baar sahi proportions waala handle banta hai, phir aap trade kar sakte hai. Aapka stop loss handle ke lowest point par ya usse thoda neeche hona chahiye.
Agar aapka stop-loss cup ke lower half mein pahunch jaata hai, tab iss trade ko avoid kariye.
Aap soch rahe honge: mera price target kya hona chahiye? Kuch traders cup ke height ko aur breakout levels ko add karte hai aur jo sum mile usko apna price target banate hai. For example, suppose the cup’s top is ₹100 and the cup’s bottom is ₹95. Since the cup’s height is ₹5, you can set your price target at ₹105.
Investors, ye yaad rakhiye ki kabhi bhi ek simple pattern par rely nahi karna chahiye. Har chart ko alag-alag angles se dekhna chahiye.
Agar aap koii nayi jagah par jaate hai toh aap apni aankhe, naak, kaan, aur doosre senses ka full use karte hai. Agar aap sirf ek sense ka use karenge toh aapki uss jagah ki understanding adhuri rahegi. Similarly, trade karte waqt sirf ek hi pattern ka use karna achi strategy nahi hai.
Aapko jab Cup and handle pattern dikhe tab hamesha additional confirmation dundna chahiye. Ask yourself questions like: Does the cup’s bottom align with the long-term support levels? Does the bottom fall in line with a rising trendline, or a moving average? Agar inn sawalo ka jawab haan hai, then it is further proof that an upward rally may be underway. But you should still do more research before committing yourself to the trade!
Chaliye doston - aaj ke liye bas itna hi. Stock market concepts ko visually samaj ne ke liye Angel One ke Youtube videos zaroor dekhiye! Aur agar aapko padke concepts samajna acha lagta hai, toh phir aap angel broking ka blog pad sakte hai! Hum samajte hai ki sabka seekhne ka tareeka alag hota hai - isleye aap jiss maadhyam mein chahe uss maadhyam mein Angel One ka content consume kar sakte hai!
Thanks for listening - and don’t forget to share this podcast. Yaad rakhiye ga ki gyaan baatne se badta hai, aur stock market ek aisi university hai jahan koii professor nahi, sab students hai!