Bear Call Spread

Podcast Duration: 05:38
Podcast script: Bear Call Spread

Angel One Podcast ke iss episode me aapka swagat hai. Aaj hum konse concept ko simplify karnge? Well, agar aap options trading ki strategies ke baare me jaanne me ruchi rakhte hain, toh unhi me se ek strategy hoti hai Bear Call Spread.

Aaj hum isi strategy ko detail me discuss karenge.
Bear call spread ek two-legged options trading strategy hoti hai. Naame se hi clear hai ke ye strategy bearish market conditions me use ki jaati hai, yaani ki tab jab market prices gir rahe hote hain. As an investor, you sell a call option, jise hum short call leg kehte hain aur saath hi saath ek separate call option purchase bhi karte hain - this is done with the same underlying asset and time period, lekin ek higher strike price par. Kyuki ye dono actions simultaneously kiye jaate hain, is strategy ko two-legged maana jaata hai. Ultimately, the idea is ke aapka option premium on the call sold should be higher than the amount paid towards the call purchased and aap net profit bana sako Jab market me traders ka asset performance ko lekar view bearish hota hai, option traders is tarah hi premium generate karte hain- and this is what we call a bear call spread. Jo bhi premium hota hai, vo aapko upfront mil jata hai - aap sunenge that people also referto this as short call spread or credit call spread. Ab humne ye toh jaan liya ke bear call spread kya hota hai, let’s discuss ke ye strategy kin sabhi situations me useful rehta hai Pehli situation jahan bear call spread strategy kaam aati hai - jab aap ka andaaza hai ke stock price girega, lekin ye girawat bahut zyada amount ki nahi hogi. Simply, agar aapko nahi lagta ke stock ya index me bahut bhaari girawat ayegi, toh bear call spread ideal hai. Main jaanti hun aap kya soch rahe honge: aisa kyun? Aisa isliye ke aapko is decline ki wajah se jo gain ho sakta hai - that is restricted to your option premiums. Yahin agar bahut bhaari girawat hoti, toh aap doosri strategies ka istemal karte. Jaise ki bear put spread, short sale etc.

Doosra scenario jahan bear call spread strategy is useful is jab market bahut volatile hai. Market ke volatile hone ka matlab hai ke market prices bahut tezi se ghat aur badh rahe hain. Kyuki jab market prices me changes tezi se aate hain, aappremiums se zyada income generate kar sakte hain. Another situation this strategy ishelpful is when you have to manage risk. Main detail me samjhati hun. Basically, aap ek aisi situation ke baare me sochiye jahan stock ya security ka price bahut badh jaata hai - maybe even double ya triple ho jaata hai call option ke expire hone se pehle hi. Agar aisa hota hai, aapko bahut bada loss ho sakta hai, lekin bear call spread strategy ke badaulat aap iss potential massive loss ko limit kar paate hain. Haan ye bhi sach hai ke strategy ki longleg ke kaaran aapka potential premium as a seller bhi limit ho jaata hai, lekin ye strategy aapko risks se bbachati hai and for that, this is a small price to pay. Ab humne scenarios toh jaan liye jahan bear call spread strategy use ho sakti hai, let’s talk about the advantages of Using a Bear Call Spead Strategy. Sabse important advantage toh yahi hai le aap options pe premium income earn kar sakte hai - at a very low degree of risk, khaaskar jab aap baaki strategies se compare karein. Iss strategy ke under ‘time decay’ ka principle use hota hai. Time decay ka matlab hai ke waqt ke guzarne ke saath ek to option ki value bhi ghatti hai. So even if aapke options expire nahi hote ya aap options use nahi karte, you will still benefit kyuki aapne call option ek higher strike price pe khareeda tha, compared to the price that you sold pichla wala.

In fact, one of the most attractive things about a bear call spread is that aap iss spread ko aapne risk appetite ke hisaab se bana sakte hain. Agar aap khud ko ek cautious trader maante hain, toh aap ek lean spread choose kar sakte hain. Aise me prices me difference bahut minimal hoga. Iske parinaam se aapka maximum risk kam ho jayega aur as a result, aapka gain earn karne ka potential bhi kam hoga. On the other hand, agar aap khud ko ek aggressive trader maante hain, aap ek broad strategy lagu karna chahenge. Aaapka risk badhega, and as we all know, risk se reward aata hai - so you also maximise the potential for earning gains. Ye toh baat rahi bear call spread ke advantages ki. Lekin bear call spread ke kuch limitations bhi hote hain. Toh aapko kuch baateon ka dhyaan bhi rakhna hoga. Ye ek bearish strategy hai, so this means that aapke returns limit ya offset ho sakte hain because of its risk - ye risk moderate se high rehta hai.

Another thing you have to take care of is this: agar aapke short call leg ka underlying stock jaldi badh raha hai, uspe assignment ka risk hai. Iska matlab hai ke aapke paas aur koi option nahi hoga and aapko stock ko strike price se kaafi zyada price pe khareedna padega. This could mean significant loss. Finally, aapko iss baat ka bhi dhyaan rakhna hoga ke is straegy ko use karne ki optimal conditions konsi hain. Jaisa humne pehle discuss kiya, the strategy is best used in cases when the market is very bahut volatile aur doosra jab aap expect kar rahe hain ke price bahut kam girega. Dhyaan rakhne wali baat ye bhi hai ke ye conditions bahut limited hoti hain.

Careful rahiyega to make use of these situations when you get a chance. Ye toh rahi bear call spread ki baat. Options trading ki baaki strategies ke baare me janne ke liye suniye humare baaki podcast episodes! In the meantime, good luck with your trading!