Difference between NSE and BSE

Podcast Duration: 06:07
Angel One podcast ke iss episode me aapka swagat hai.
Agar aap newspaper ke business pages padhe ya business news channels par udti nazar bhi daalein, it is likely that you will get information about how stocks are performing on stock exchanges. Aur unn stock exchanges me sabse zyada naam aapne BSE aur NSE ka suna hoga.

Agar hum India ke equity share market ko dekhein, toh sabse zyada trading inhi do stock exchanges par ki jaati hai. Ek hai Bombay Stock Exchange ya phir BSE for short and the other is National Stock Exchange ya NSE for short. Ye dono India ke sabse bade stock exchanges hain, In fact Asia me bhi ye Japan,China aur Hong Kong stock exchange ke baad sabse bade stock exchanges me gine jaate hain. Ab Itna toh clear hai ki inn dono stock exchanges par bhaari volume me trading ki jaati hai.

Chahe aap stock market me long-term me invest karna chahte hon, ya phir market me short-term ke liye trading, aapko stock exchanges ke baare me pata hona chahiye - especially ke BSE aur NSE me differences kya hai. Aaj hum iss podcast me aapko NSE aur BSE ke hi baare me detail me batayenge.

Pehle baat karte hain NSE ki. 1992 me bana National Stock Exchange India ka sabse bada sock exchange hai agar hum market capitalization ke perspective se dekhein. NSE hi desh ka pehla stock exchange tha jahan electronic aur automated trading shuru ki gai thi. Aaj ki taareekh me toh electronic trading aam ho gayi hai - lekin pehle ye trading paper-based hua karti thi jiske under aapko physical share certificates milte the. Jab systems digital hue, NSE was the first one to adopt the electronic mode.

National Stock exchange ka benchmark index NIFTY yaani ki National Fifty hai. NIFTY ki value nikalne ke liye NSE par trade ki jaa rahi 50 sabse badi companies ko consider kiya jaata hai. Ye companies ya to sabse frequently traded companies hoti hain ya phir market capitalization ke terms ke sabse badi companies.

NSE ko haal hi mein derivatives segment me duniya ka sabse bada exchange declare kiya gaya tha. The parameter was the number of contracts traded.

Doosri ore hai BSE yaani ki Bombay stock exchange. BSE ke operations san 1875 me shuru gue the. Us samay uska naam The Native Share & Stock Brokers Association tha. BSE Asia ka sabse purana stock exchange hai. BSE ne electronic system 1995 me hi adopt kiya tha. Uss samay tak BSE ki trading open-cry system se hi ho rahi thi.

Jaise NSE ka benchmark index NIFTY hai, Bombay Stock Exchange ka bhi khud ka index hai. It is called SEXSEX - short for Sensitive Index. Ye index pehli baar 1986 me use hua tha. Iski value BSE par listed top 30 companies ki value ka weighted average nikal kar paayi jaati hai.

Now that we have a fair idea about NSE and BSE, iss podcast ke agle hisse me dekhte hain NSE aur BSE ke differences.

Sabse pehle difference hai incorporation ka. Jahan ek ore BSE Asia ka sabse purana stock exchange hai, jo 18th century se chal raha hai, NSE bahut baad me operational hua. In fact, NSE ko toh operational hue 30 saal bhi nahi hue hain. Global stock exchange rankings me BSE 10vi position par hai aur NSE 11th.

Next parameter for the differences between the two is the electronic trading. Jab electronic trading ki baat aati hai to NSE ka upper hand rehta hai. Incorporation ke time se hi, NSE hamesha ek electronic stock exchange raha hai. Vo hamesha hi paperless trading promote karta raha hai. Doosri ore BSE kaafi samay tak paper-based trading system follow karta raha. BSE made the switch to electronic trading only in 1995. 1995 me BSE On-line trading yaani ki BOLT ke aane se ye shift possible hua tha.

Agla difference between NSE and BSE is related to derivatives contracts. Derivatives contracts segment me NSE ko headstart mili thi because it started trading in them first. So in a way ab iss segment par NSE ki almost monopoly hai. In fact, NSE ke 2 major indices - NIFTY50 aur bank NIFTY - ye dono hi kaafi liquid hain aur sabse zyada traded contracts hai in the derivative segment. Iske comparison me BSE ke derivatives segment me trade kaafi kam hota hai, chahe hum investors ki transactions dekhe ya traders ki.

Dono stock exchanges me difference ka next factor hai ki unpar kitni companies listed hai. Of course, BSE NSE se kaafi time pehle incorporate hua tha, so zaahir hai vo NSE se aage hai in this context. NSE par 1600 se zyada companies listed hai, jabki BSE par 5000 se bhi zyada hai. Of course itna bada difference seems shocking, but it also makes sense: aakhir BSE has been in operation for decades before NSE even came into existence.

NSE aur BSE me ek bahut hi interesting point of difference bhi hai. Vo ye hai ki BSE apne rival stock exchange NSE par listed hai. So between the two of them , BSE is a listed stock exchange. NSE ne bhi listing ke liye try kiya tha lekin legal hurdles ki wajah se vo abhi tak list ho nahi paaya!

At the end of the day, dono BSE aur NSE hi duniya ke behad successful stock exchanges hain. EK ore Bombay stock exchange ke paas 5000 se zyada companies listed hai jisse uska portfolio beginners ke liye ideal ban jata hai, wahin doosri ore National stock exchange ki strength uske derivative contracts me hai. Agar aap experience investor ya trader hain, toh aap NSE par trade karne me dischaspi rakhenge Ab aapko NSE aur BSE me fark pata hi hai, toh kis baat ka wait kar rahe hain, go right ahead and start trading and investing!