What Is Digital Gold

Podcast Duration: 06:19
Namaskar Dosto. Angel One ke iss podcast mein aapka swagat hai.

Agar digital gold ka nam sun ke aapke maan me ye prashn aaya ki "kya cheez?!" toh no problem dosto. Fikar mat karo. Yeh kaafi naya concept hai aur humare aaj ke podcast mein mae aapko digital gold ke baare mein shari jankari duga.

Our podcast will be divided into 5 key points
- Introduction
- Investment process
- Advantages
- Vendor options
- Things to watch for

Pahle main introduction ke bare me batata hu - yaani ke what is digital gold?
Humare desh mein to sone ka hamesha demand rahta hai. As a result, gold mein invest karna bahut profitable ho sakta hai. High return on investment milta hai. Lekin log sone mein invest karne se darte hai kyuki koi iss sone ko loot sakta hai. Log bank mein bhi safe ya vault lete hai lekin tension ke maare dusre investment options prefer karte hai. jisse loot lena mushkil hai. jaise fixed deposit, real estate ya stock market investment.

Digital gold maane digital or online investment in physical gold. Jab aap digital gold khareedte ho iska record ek online account mein ban jata hai. Darr gaye kya? Dont worry. Nayi cheez always thoda scary lagti hai lekin concept toh naya bilkul nahi hai. Sirf product naya hai.It is the same as having cash versus debit card. Pahle log physical share certificates as before versus online holding of shares jo log aaj karte hai.

More importantly, digital gold sellers ke liye rules and regulations bhi ban chuka hai, jaise ki:

Aap jo sona online khareedte ho, woh gold tumhare liye bahut hi secure vaults mein rakha jata hai, by your seller. Vendor ke pass har ek unit sold ke liye physically gold rahna chahiye. Aise nahi ki vendor ke pass 1 kg gold hai lekin unhone 3 kg bech diya.

Digital gold bechne walo ko tumhare digital gold ke liye sahi prakar ka insurance bhi lena hota hai. Agar kismat buri hui or aapka sona chori ho gaya ya ghum gaya toh aapko koi loss nahi hoga.

Digital gold ka investment ya growth process can be compared to long term investments.

Yeh 3 phases yaani ke steps mein divide kiya ja sakta hai for the purpose of explanation.

Pahla phase hai registration Vendor product ko offer kar deta hai aur quality check ho jata hai… 24k gold quality hai toh aage badte hai. Phir koi distributor ko permission mil jata hai to sell the gold jaise ki Angel One on a platform jaha customer ashani se digital gold khareed sakta hai Customer KYC aur registration sab kar ke platform mein register ho jata hai Dusra phase mein growth hone lagta hai Lekin pahle distribution platform me buy karna hota hai. Net banking se pay karo Gold aapke naam se ek vault mein rakha jata hai jaha pr uska bhav badte rahega. Chahe toh aap aur bhi khareed ke ikatha kar sakte ho aur phir bada profit jama kar sakte ho

Teesra step hai final step jaha se aap apna investment redeem kar sakte ho. Jab aap bechne ke liye tayaar ho toh rate check karo. Ensure ki aap apne profits se khush ho nahi toh wait for some time. Sell order execute karo.

Ho sakta hai ki aapko apne gold ki delivery chahiye. Aapke registered address me aapko gold coins mil jayegi Ho sakta hai ki you had purchased gold at a good rate keeping in mind an upcoming wedding ya koi big anniversary. Aap apne digital gold ko at an approved jeweller ke paas exchange kar sakte ho for physical jewellery.

Ab jan lete hai the advantages of digital gold Digital gold rates market se related hai. You can buy at live market rates jo zyaada competitive aur reasonable rahte hai.

Aapke gold 100 % safe rahega. Ghar me toh kuch bhi ho sakta. Very importantly if you are treating gold as an investment kyu making charges me paise waste karna chahte ho? Digital gold mein making charges ka koi funda hai hi nahi.

Digital gold vendors in India.
Digital Gold India Private Limited… innka product, jiska naam hai safe gold, is backed by the World Gold council as well as private equity funds.

MMTC-PAMP India Private Limited… jo hai ek collaboration yaani ke joint venture between Switzerland-based MKS PAMP (jo trading company hai … specialising in to precious metals). Toh it is a joint venture between MKS PAMP aur ek bharat sarkar company jiska naam hai Metals and Minerals Trading Corporation (MMTC).

Yeh 2 vendors kahi distributors (jaise banks, stock brokers and other financial institutions) ke dwaara digital gold aapko bech dete hai..

This brings us to humare podcast ka final point aur woh hai things to watch for when buying digital gold.

Purity check karna important hai. Dono ke dono vendors 24k gold bech rahe hai lekin MMTC-PAMP offers only the highest quality of gold, jiska purity rating hai 99.9. SafeGold ka purity rating hai 99.5.

Obviously vendor tumhare liye gold safely aur securely vault mein rakh raha hai aur insurance bhi le raha hai toh thoda bahut charge lagega hi? Yeh charge 2.5% to 2.95% of the price tak rahta hai. MMTC-PAMP allows gold to be stored for 5 years jiske baad you need to sell, nahi toh take delivery or opt for jewellery exchange. SafeGold 2 saal ke liye aapka gold vault me rakh deta hai.

Delivery aur jewellery exchange ke samey jo mint and dispatch charges rahte hai (delivery ke liye) or jo making charges hai (jewellery ke liye) woh aapko pay karna padtha hai.

Itne advantages hone ke karan digital gold banane wala hai bahut popular. Beat the demand curve and buy at a competitive rate… or phir achcha profits kama sakte hai.